Woh Din | Chhichhore | Nitesh Tiwari | Sushant | Shraddha | Pritam | Amitabh | Tushar Joshi

Singer – Tushar Joshi
Music – Pritam
Lyrics – Amitabh Bhattacharya
Director – Nitesh Tiwari
Music Label – T-Series

Woh Din Lyrics:

Yaadon ke purane album mein
Chhupa ke rakhkhen hai humne woh din
Hmm.. gullak mein badi chamanni si
Bacha ke rakhkhen hai humne woh din

Na kisi manzil ki fikar thi
Zindagi jeene ki umar thi
Dosti aur doston se udhar ke din the
Woh din bhi kya din the

Woo… woh din bhi kya din the
Woo… woh din bhi kya din the (x2)

Kar na mana the kaam jo
Humne kiya har kaam woh
Jinki nahi thi permission
Saare kiye intezam woh

Bedhab harkataon ke
Bhoot sar pe sawar ke din the
Haq karne ke yaaron
Aar ya phir paar ke din the
Woh din bhi kya din the

Woo… woh din bhi kya din the
Woo… woh din bhi kya din the (x2)……………….